TERA NA MILNA MUJHE MANJOOR HAI...

Submitted by पोलेकर प्रसन्न on 14 May, 2019 - 03:25

Yu toh najdikiya apni bematlab nhi thi

Tere aanese jo mila
tabhi shayd usiki kami thi

Kuch khushiya aapne bati thi hamse
Kuch batein hamne bhi baya ki thi

Kabhi sapnome ham bhi aate the aapke.....
Kabhi hamari bhi ratein apke khayalome gujara karti thi

Par Kuch faisale samjote ke aapke
jisme aaphiki manjoori nhi thi

shayd isiliye tera na milna mujhe manjoor hai....

kahi dil ke daftr me aaj bhi naam likha hua he unka

Mithane ki koshish to ki thi par apne me hi kuch rubab he uska

Phir chhod diya use apani jagah pe hamne
shayd use hi rehna vahi tha

Abhi sahi chal raha he waqt apni apni rah me

Wo bhi sahi hai ham bhi sahi hain apne apne jahan me

Shayd isiliye tera na milna mujhe manjoor hai .......

Hamari zindgi hamesha khayalome jeeti rehti hai
Jo chahiye use milane ke chahat me rehti hai

Agar koi chij na mile to bhi....
Zindgi chalti hi rehti hai

Shayd isilye.....

TERA NA MILNA MUJHE MANJOOR HAI...

Group content visibility: 
Use group defaults